Kahin Ummid Si Hai Dil Ke Nihan KHane Mein
kahin ummid si hai dil ke nihan KHane mein
abhi kuchh waqt lagega use samjhane mein
mausam-e-gul ho ki patjhaD ho bala se apni
hum ki shamil hain na khilne mein na murjhane mein
hum se maKHfi nahin kuchh rahguzar-e-shauq ka haal
hum ne ek umr guzari hai hawa khane mein
hai yunhi ghumte rahne ka maza hi kuchh aur
aisi lazzat na pahunchne mein na rah jaane mein
nae diwanon ko dekhen to KHushi hoti hai
hum bhi aise hi the jab aae the virane mein
mausamon ka koi mahram ho to us se puchho
kitne patjhaD abhi baqi hain bahaar aane mein
(1558) Peoples Rate This