Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fc392247501bd3ac92b972b64e7a5e98, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kabhi KHwahish Na Hui Anjuman-arai Ki - Ahmad Mushtaq Poetry In English - Darsaal

Kabhi KHwahish Na Hui Anjuman-arai Ki

kabhi KHwahish na hui anjuman-arai ki

koi karta hai hifazat meri tanhai ki

main to gum apne nashe mein tha mujhe kya malum

kis ne munh pher liya kis ne pazirai ki

wo taghaful bhi na tha aur tawajjoh bhi na thi

kabhi Toka na kabhi hausla-afzai ki

hichkiyan sham-e-shafaq-tab ki thamti hi na thin

ab bhi ruk ruk ke sada aati hai shahnai ki

hum se pahle bhi suKHnawar hue kaise kaise

hum ne bhi thoDi bahut qafiya-paimai ki

(1385) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi KHwahish Na Hui Anjuman-arai Ki In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Kabhi KHwahish Na Hui Anjuman-arai Ki is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Kabhi KHwahish Na Hui Anjuman-arai Ki for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Kabhi KHwahish Na Hui Anjuman-arai Ki in PDF.