Hath Se Napta Hun Dard Ki Gahrai Ko
hath se napta hun dard ki gahrai ko
ye naya khel mila hai meri tanhai ko
tha jo sine mein charagh-e-dil-pur-KHun na raha
chaTiye baiTh ke ab sabr o shakebai ko
dil-e-afsurda kisi tarah bahalta hi nahin
kya karen aap ki is hausla-afzai ko
KHair badnam to pahle bhi bahut the lekin
tujh se milna tha ki par lag gae ruswai ko
nigah-e-naz na milte hue ghabra hum se
hum mohabbat nahin kahne ke shanasai ko
dil hai nairangi-e-ayyam pe hairan ab tak
itni si baat bhi malum nahin bhai ko
(1926) Peoples Rate This