Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2bb1784e23ce4d5870b0617f55310600, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Lamha Zulmaton Ki KHudai Ka Waqt Hai - Ahmad Mushtaq Poetry In English - Darsaal

Har Lamha Zulmaton Ki KHudai Ka Waqt Hai

har lamha zulmaton ki KHudai ka waqt hai

shayad kisi ki chehra-numai ka waqt hai

kahti hai sahilon se ye jate samay ki dhup

hushyar naddiyon ki chaDhai ka waqt hai

hoti hai sham aankh se aansu rawan hue

ye waqt qaidiyon ki rihai ka waqt hai

koi bhi waqt ho kabhi hota nahin juda

kitna aziz us ki judai ka waqt hai

dil ne kaha ki sham-e-shab-e-wasl se na bhag

ab pak chuki hai fasl kaTai ka waqt hai

main ne kaha ki dekh ye main ye hawa ye raat

us ne kaha ki meri paDhai ka waqt hai

(1969) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Lamha Zulmaton Ki KHudai Ka Waqt Hai In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Har Lamha Zulmaton Ki KHudai Ka Waqt Hai is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Har Lamha Zulmaton Ki KHudai Ka Waqt Hai for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Har Lamha Zulmaton Ki KHudai Ka Waqt Hai in PDF.