Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_93b71a83b2f5d353af417c29d1d02862, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hamein Sab Ahl-e-hawas Na-pasand Rakhte Hain - Ahmad Mushtaq Poetry In English - Darsaal

Hamein Sab Ahl-e-hawas Na-pasand Rakhte Hain

hamein sab ahl-e-hawas na-pasand rakhte hain

ki hum nawa-e-mohabbat buland rakhte hain

isi liye to KHafa hain sitam-shiar ki hum

nigah-e-narm o dil-e-dardmand rakhte hain

agarche dil wahi rajat-pasand hai apna

magar zaban taraqqi-pasand rakhte hain

hum aise arsh-nashinon se wo daraKHt achchhe

jo aandhiyon mein bhi sar ko buland rakhte hain

chale ho dekhne 'mushtaq' jin ko pichhli raat

wo log sham se darwaza band rakhte hain

(856) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamein Sab Ahl-e-hawas Na-pasand Rakhte Hain In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Hamein Sab Ahl-e-hawas Na-pasand Rakhte Hain is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Hamein Sab Ahl-e-hawas Na-pasand Rakhte Hain for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Hamein Sab Ahl-e-hawas Na-pasand Rakhte Hain in PDF.