Ek Phul Mere Pas Tha Ek Shama Mere Sath Thi
ek phul mere pas tha ek shama mere sath thi
bahar KHizan ka zor tha andar andheri raat thi
aise pareshan to na the TuTe hue sannahaTe
jab ishq ki tere mere gham par basar-auqat thi
kuchh tum kaho tum ne kahan kaise guzare roz-o-shab
apne na milne ka sabab to gardish-e-haalat thi
ek KHamushi thi tar-ba-tar diwar-e-mizhgan se udhar
pahuncha hua paigham tha barsi hui barsat thi
sab phul darwazon mein the sab rang aawazon mein the
ek shahr dekha tha kabhi us shahr ki kya baat thi
ye hain nae logon ke ghar sach hai ab un ko kya KHabar
dil bhi kisi ka nam tha gham bhi kisi ki zat thi
(963) Peoples Rate This