Chhin Gai Teri Tamanna Bhi Tamannai Se
chhin gai teri tamanna bhi tamannai se
dil bahalte hain kahin hausla-afzai se
kaisa raushan tha tera nind mein Duba chehra
jaise ubhra ho kisi KHwab ki gahrai se
wahi aashufta-mizaji wahi KHushiyan wahi gham
ishq ka kaam liya hum ne shanasai se
na kabhi aankh bhar aai na tera nam liya
bach ke chalte rahe har kucha-e-ruswai se
hijr ke dam se salamat hai tere wasl ki aas
tar-o-taza hai KHushi gham ki tawanai se
khil ke murjha bhi gae fasl-e-mulaqat ke phul
hum hi farigh na hue mausam-e-tanhai se
(922) Peoples Rate This