Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_mi7g10lkk7hg5aabp2r3qmtkc4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Na Bahal Sakega Dil Ab Na Diye Jalaiye - Ahmad Mushtaq Poetry In English - Darsaal

Ab Na Bahal Sakega Dil Ab Na Diye Jalaiye

ab na bahal sakega dil ab na diye jalaiye

ishq o hawas hain sab fareb aap se kya chhupaiye

us ne kaha ki yaad hain rang tulu-e-ishq ke

main ne kaha ki chhoDiye ab unhen bhul jaiye

kaise nafis the makan saf tha kitna aasman

main ne kaha ki wo saman aaj kahan se laiye

kuchh to suragh mil sake mausam-e-dard-e-hijr ka

sang-e-jamal-e-yar par naqsh koi banaiye

koi sharar nahin bacha pichhle baras ki rakh mein

ham-nafasan-e-shola-KHu aag nai jalaiye

(1167) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Na Bahal Sakega Dil Ab Na Diye Jalaiye In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Ab Na Bahal Sakega Dil Ab Na Diye Jalaiye is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Ab Na Bahal Sakega Dil Ab Na Diye Jalaiye for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Ab Na Bahal Sakega Dil Ab Na Diye Jalaiye in PDF.