Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b5daf29540d4b1d2499f45642fd98e7c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaj Ro Kar To Dikhae Koi Aisa Rona - Ahmad Mushtaq Poetry In English - Darsaal

Aaj Ro Kar To Dikhae Koi Aisa Rona

aaj ro kar to dikhae koi aisa rona

yaad kar ai dil-e-KHamosh wo apna rona

raqs karna kabhi KHwabon ke shabistanon mein

kabhi yaadon ke sutunon se lipaTna rona

tujh se sikhe koi rone ka saliqa ai abr

kahin qatra na girana kahin dariya rona

rasm-e-duniya bhi wahi rah-e-tamanna bhi wahi

wahi mil baiTh ke hansna wahi tanha rona

ye tera taur samajh mein nahin aaya 'mushtaq'

kabhi hanste chale jaana kabhi itna rona

(1468) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Ro Kar To Dikhae Koi Aisa Rona In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Aaj Ro Kar To Dikhae Koi Aisa Rona is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Aaj Ro Kar To Dikhae Koi Aisa Rona for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Aaj Ro Kar To Dikhae Koi Aisa Rona in PDF.