Phenkte Sang-e-sada Dariya-e-virani Mein Hum
phenkte sang-e-sada dariya-e-virani mein hum
phir ubharte daera-dar-daera pani mein hum
ek zara yunhi basar kar len giran-jaani mein hum
phir tumhein sham-o-sahar rakkhenge hairani mein hum
ek hawa aaKHir uDa hi le gai gard-e-wajud
sochiye kya KHak the us ki nigahbani mein hum
wo to kahiye dil ki kaifiyyat hi aaina na thi
warna kya kya dekhte is ghar ki virani mein hum
mahw-e-hairat the ki be-mausam nadi payab thi
bas khaDe dekha kiye utre nahin pani mein hum
us se milna aur bichhaDna der tak phir sochna
kitni dushwari ke sath aae the aasani mein hum
(728) Peoples Rate This