Aaya Hi Nahin Koi Bojh Apna UThane Ko
aaya hi nahin koi bojh apna uThane ko
kab tak main chhupa rakhta is KHwab-KHazane ko
dekha nahin ruKH karte jis tarf zamane ko
ji chahta hai akasr us samt hi jaane ko
ye shaghl-e-zabani bhi be-sarfa nahin aaKHir
sau baat banata hun ek baat banane ko
is kunj-e-tabiat ki mumkin hai hawa badle
jhonka koi aa jae patte hi uDane ko
raazi na hua main bhi manus manazir par
tayyar na tha wo bhi kuchh aur dikhane ko
jaisa ki samajhte ho waisa to nahin kuchh bhi
ye sara tamasha hai ek wahm miTane ko
(814) Peoples Rate This