Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bba488f44856efca1837995cd906fa7f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zindagi KHauf Se Tashkil Nahin Karni Mujhe - Ahmad Khayal Poetry In English - Darsaal

Zindagi KHauf Se Tashkil Nahin Karni Mujhe

zindagi KHauf se tashkil nahin karni mujhe

raat se zat ki takmil nahin karni mujhe

kisi darwesh ke hujre se abhi aaya hun

so tere hukm ki tamil nahin karni mujhe

chhoD di dasht-nawardi bhi ziyan-kari bhi

zindagi ab teri tazlil nahin karni mujhe

dil ke bazar mein zanjir-zani honi nahin

aankh bhi aankh rahe jhil nahin karni mujhe

main ki ilhad ke girdab mein aaya hua hun

ab kisi ilm ki tahsil nahin karni mujhe

laDte rahna hai tasalsul se mujhe subh talak

aur talwar bhi tabdil nahin karni mujhe

(1043) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi KHauf Se Tashkil Nahin Karni Mujhe In English By Famous Poet Ahmad Khayal. Zindagi KHauf Se Tashkil Nahin Karni Mujhe is written by Ahmad Khayal. Read famous Poem Zindagi KHauf Se Tashkil Nahin Karni Mujhe for youth and Student by Ahmad Khayal. Free Download Zindagi KHauf Se Tashkil Nahin Karni Mujhe in PDF.