Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c4d2cce2bbc7334aa985411369076484, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Use Ek Ajnabi KhiDki Se Jhanka - Ahmad Khayal Poetry In English - Darsaal

Use Ek Ajnabi KhiDki Se Jhanka

use ek ajnabi khiDki se jhanka

zamane ko nai khiDki se jhanka

wo pura chand tha lekin hamesha

gali mein adh-khuli khiDki se jhanka

mein pahli martaba nashshe mein aaya

koi jab dusri khiDki se jhanka

amar hone ki KHwahish mar gai thi

jab is ne daimi khiDki se jhanka

mein sabze par chala tha nange panw

sahar dam shabnami khiDki se jhanka

mujhe bhate hain lamhe iKHtitami

mein pahle aaKHiri khiDki se jhanka

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Use Ek Ajnabi KhiDki Se Jhanka In English By Famous Poet Ahmad Khayal. Use Ek Ajnabi KhiDki Se Jhanka is written by Ahmad Khayal. Read famous Poem Use Ek Ajnabi KhiDki Se Jhanka for youth and Student by Ahmad Khayal. Free Download Use Ek Ajnabi KhiDki Se Jhanka in PDF.