Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_211f2e9e5a38be98b9e8a4c342c1bc7b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Qayamat Se Qayamat Se Guzare Ja Rahe The - Ahmad Khayal Poetry In English - Darsaal

Qayamat Se Qayamat Se Guzare Ja Rahe The

qayamat se qayamat se guzare ja rahe the

ye kin hathon hazaron log mare ja rahe the

sunahri jal-pari dekhi to phir pani mein kude

wagarna hum to dariya ke kinare ja rahe the

samundar ek qatre mein sameTa ja raha tha

shutur sui ke nake se guzare ja rahe the

chaman-zaron mein KHema-zan the sahraon ke basi

hare manzar nigahon mein utare ja rahe the

sabhi talab phulon aur kirnon se bhara tha

badan KHush-rang pani se nikhaare ja rahe the

(815) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qayamat Se Qayamat Se Guzare Ja Rahe The In English By Famous Poet Ahmad Khayal. Qayamat Se Qayamat Se Guzare Ja Rahe The is written by Ahmad Khayal. Read famous Poem Qayamat Se Qayamat Se Guzare Ja Rahe The for youth and Student by Ahmad Khayal. Free Download Qayamat Se Qayamat Se Guzare Ja Rahe The in PDF.