Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_90e3ebd4e3e58fe15316b9c9484e58f2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Koi Hairat Hai Na Is Baat Ka Rona Hai Hamein - Ahmad Khayal Poetry In English - Darsaal

Koi Hairat Hai Na Is Baat Ka Rona Hai Hamein

koi hairat hai na is baat ka rona hai hamein

KHak se uTThe hain so KHak hi hona hai hamein

phir talluq ke bikharne ki shikayat kaisi

jab use kanch ke dhagon mein pirona hai hamein

ungliyon ki sabhi poron se lahu rista hai

apne daman ke ye kis dagh ko dhona hai hamein

phir utar aae hain palkon pe sisakte aansu

phir kisi sham ke aanchal ko bhigona hai hamein

ye jo aflak ki wusat mein liye phirti hai

is ana ne hi kisi roz Dubona hai hamein

(892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Hairat Hai Na Is Baat Ka Rona Hai Hamein In English By Famous Poet Ahmad Khayal. Koi Hairat Hai Na Is Baat Ka Rona Hai Hamein is written by Ahmad Khayal. Read famous Poem Koi Hairat Hai Na Is Baat Ka Rona Hai Hamein for youth and Student by Ahmad Khayal. Free Download Koi Hairat Hai Na Is Baat Ka Rona Hai Hamein in PDF.