Jaisi Honi Ho Wo Raftar Nahin Bhi Hoti
jaisi honi ho wo raftar nahin bhi hoti
rah is samt ki hamwar nahin bhi hoti
main tahi-dast laDai ke hunar sikhta hun
kabhi is hath mein talwar nahin bhi hoti
phir bhi hum log the rasmon mein aqidon mein juda
gar yahan bich mein diwar nahin bhi hoti
wo meri zat se inkar kiye rakhta hai
gar kabhi surat-e-inkar nahin bhi hoti
jis ko bekar samajh kar kisi kone mein rakhen
aisa hota hai ki bekar nahin bhi hoti
dil kisi bazm mein jate hi machalta hai 'KHayal'
so tabiat kahin be-zar nahin bhi hoti
(754) Peoples Rate This