Dasht O Junun Ka Silsila Mere Lahu Mein Aa Gaya
dasht o junun ka silsila mere lahu mein aa gaya
ye kis jagah pe main tumhaari justuju mein aa gaya
wo sarw-qamat ho gaya hai dekhte hi dekhte
jaane kahan se zor sa us ki numu mein aa gaya
bas chand lamhe pesh-tar wo panw dho ke palTa hai
aur nur ka sailab sa is aabju mein aa gaya
chaaron taraf hi titliyon ke raqs hone lag gae
tu aa gaya to bagh sara rang-o-bu mein aa gaya
main jhumte hi jhumte 'ahmad' tamasha ban gaya
jab aks us ke raqs ka mere subu mein aa gaya
(873) Peoples Rate This