Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e34e425a8b0baec2b4dc90a194a40d5c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tu Ziyaada Mein Se Bahar Nahin Aaya Karta - Ahmad Kamran Poetry In English - Darsaal

Tu Ziyaada Mein Se Bahar Nahin Aaya Karta

tu ziyaada mein se bahar nahin aaya karta

main ziyaada ko mayassar nahin aaya karta

main tera waqt hun aur ruTh ke jaane laga hun

rok le yar main ja kar nahin aaya karta

ai palaT aane ki KHwahish ye zara dhyan mein rakh

jang se koi barabar nahin aaya karta

chand peDon ko hi majnun ki dua hoti hai

sab daraKHton pe to patthar nahin aaya karta

ab mujawir bhi qalandar se baDe ho gae hain

ab mazaron pe kabutar nahin aaya karta

(828) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Ziyaada Mein Se Bahar Nahin Aaya Karta In English By Famous Poet Ahmad Kamran. Tu Ziyaada Mein Se Bahar Nahin Aaya Karta is written by Ahmad Kamran. Read famous Poem Tu Ziyaada Mein Se Bahar Nahin Aaya Karta for youth and Student by Ahmad Kamran. Free Download Tu Ziyaada Mein Se Bahar Nahin Aaya Karta in PDF.