Tanhai Se Bachaw Ki Surat Nahin Karun
tanhai se bachaw ki surat nahin karun
mar jaun kya kisi se mohabbat nahin karun
su-e-falak hawai safar hai to kya hua
Dar jaun mahtab ki surat nahin karun
aankhen hain ya sharab ke saghar bhare hue
pi jaun kya KHayal-e-shariat nahin karun
qabze mein un ke shahr-e-tilismat hi sahi
kho jaun kya KHuda ki ibaadat nahin karun
jab tai hua ki raushni parwardigar hai
pahlu bachaun us ki itaat nahin karun
bazm-e-suKHan-taraaz mein nakaam hon to kya
chillaun apne fan ki hifazat nahin karun
wo aa gaya 'kamal' ki qimat ke aas-pas
bik jaun apne sach ki hifazat nahin karun
(860) Peoples Rate This