Tamam BhiD Se Aage Nikal Ke Dekhte Hain
tamam bhiD se aage nikal ke dekhte hain
tamash-bin wo chehra uchhal ke dekhte hain
nazakaton ka ye aalam ki ru-numai ki rasm
gulab bagh se bahar nikal ke dekhte hain
tu la-jawab hai sab ittifaq rakhte hain
magar ye shahr ke fanus jal ke dekhte hain
ise main apne shabistan mein chhu ke dekhta hun
wo chand jis ko samundar uchhal ke dekhte hain
jo kho gaya hai kahin zindagi ke mele mein
kabhi kabhi use aansu nikal ke dekhte hain
jo roz daman-e-sad-chaak site rahte hain
tumhein wo id pe kapDe badal ke dekhte hain
(862) Peoples Rate This