Sham Ke Baad Sitaron Ko Sambhalne Na Diya

sham ke baad sitaron ko sambhalne na diya

raat ko rok liya chand ko Dhalne na diya

mauj-e-baatin kabhi auqat se bahar na gai

had ke andar bhi kisi shai ko machalne na diya

aag to chaaron hi jaanib thi par achchha ye hai

hosh-mandi se kisi chiz ko jalne na diya

ab ke muKHtar ne muhtaj ki diwar ka qad

jitna mamul hai utna bhi nikalne na diya

jin buzurgon ki wirasat ke amin hain hum log

un ki qabron ne kabhi shahr badalne na diya

(800) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sham Ke Baad Sitaron Ko Sambhalne Na Diya In English By Famous Poet Ahmad Kamal Parwazi. Sham Ke Baad Sitaron Ko Sambhalne Na Diya is written by Ahmad Kamal Parwazi. Read famous Poem Sham Ke Baad Sitaron Ko Sambhalne Na Diya for youth and Student by Ahmad Kamal Parwazi. Free Download Sham Ke Baad Sitaron Ko Sambhalne Na Diya in PDF.