Kanware Aansuon Se Raat Ghael Hoti Rahti Hai

kanware aansuon se raat ghael hoti rahti hai

sitare jhaDte rahte hain rehearsal hoti rahti hai

siyasi mashq kar ke tum to dilli lauT jate ho

yahan sahme hue logon mein halchal hoti rahti hai

wahan rakkhe hue mohre barabar marte rahte hain

idhar kheli hui bazi mukammal hoti rahti hai

main sab kuchh bhul ke jaane ki koshish karta rahta hun

magar guzri hui wo raat pagal hoti rahti hai

na jaane kya KHarabi aa gai hai mere lahje mein

na jaane kyun meri aawaz bojhal hoti rahti hai

(775) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Kanware Aansuon Se Raat Ghael Hoti Rahti Hai In English By Famous Poet Ahmad Kamal Parwazi. Kanware Aansuon Se Raat Ghael Hoti Rahti Hai is written by Ahmad Kamal Parwazi. Read famous Poem Kanware Aansuon Se Raat Ghael Hoti Rahti Hai for youth and Student by Ahmad Kamal Parwazi. Free Download Kanware Aansuon Se Raat Ghael Hoti Rahti Hai in PDF.