Kitne Mein Banti Hai Mohr Aisi
kitne mein banti hai mohr aisi
na-chiz ahmad-jawed-'owaisi'
mere suKHan mein hai ek shai si
aawaz itni KHamoshi aisi
kal aashiqon ka aate hi mazkur
kya kya na bahke allama-qaisi
is mantiqi par apni nazar hai
min-wajh aisi min-wajh waisi
yan ka na hona bhi wahm hi hai
butlan kis ka tahqiq kaisi
khulti nahin hai mujh par ye duniya
dil mein nahin si aankhon mein hai si
jitni masafat sar kar chuka hun
lagti hai wo bhi na-karda tai si
sukha paDa hai dariya to kab ka
hai mauj-KHezi waisi ki waisi
ab shahr sara gharqab jaano
ashkon mein aai ye bund kaisi
saghar mila hai saghar sa mujh ko
us mein bhari hai mai koi mai si
deta hai tark-e-duniya ki dawat
'jawed' ki to aisi-ki-taisi
(3392) Peoples Rate This