Ek Tassur
KHamoshi hamesha se utni hi gahri hai
jitni ki canwas se mawara taswir
tum aisa nahin samajhte kya?
aankhen jo hamein di gai hain
kisi anaDi musawwir ki ghaDi hui aag ke
shola-e-siyah ke bil-muqabil
kafi hain nazar-andaz karne ke liye har chiz ko
jo zahir hai rangini ke sath
ye aala darje ki sanjidgi hai
ek mukammal dimagh ki fauqul-hafiza gahrai ka moti
siyah raKHshanda aur muhib!
taswir-e-na-shuda timsal
kabhi nahin Tikti us aaine ki phisalawan satah par
jo KHud aks hai kisi aur aaine mein
puri mahaarat se
intihai himaqat se
nahin, main nahin dekh sakta wo ghair-manquta nuqta
jo kashf se ariz hai aur muraqabe se wasia!
ab lazim hai ki taswir kiye jaen
KHamoshi ki tah aag ka baatin aur
muqaddas tanhai!
to kahan hai tumhaara barush?
(1049) Peoples Rate This