Ek Surma Ke Nam
aane wale din ke aaKHir par
suraj TuTi hui Dhaal ki tarah
ufuq par chaspan ek hunut kiya hua sar
kisi surma ka
jo waqt se haar gaya!
bagule aisi hawa aur ek ranga hua ghoDa
lahu-luhan dil hamesha ghaD leta hai ek duniya apne liye
mohabbat kahin ziyaada saffak hai nafrat se
kyun-ki ye achhuti aur ujli hai
us sitare ki tarah
jo kanda hai ek muqaddas qurban-gah ki chhat par
zindagi! hasht!
han magar maut ek pul hai shikasta aur charcharaata
abdiyat ke bojh-tale
kahan hai tumhaara rath jo
tariKH se ziyaada tez chalta hai
aur kahan hai tumhaara jhanDa
jis ka saya
zamin par nahin paDta
(1176) Peoples Rate This