Aandhi Ka Rajaz
sannaTon ki tah mein ghasibana raftar se baDhta hua
kisi masruqa raaz ka dabiz KHala
aur us mein tezi se gardish karta hua
ek jila-watan sayyara
kisi ujaD kahkashan ko na chhoDne par musir
raushni ki baqi-manda aawaz
aur shikasta aafaq ke KHakistari gahrao mein
suraj ke fauri ghayab ke
miTte hue aasar
mujhe bachana hai
us kaenati wirse ko
sarabon ki tezabi phunkar ke sath
zalzalon ki jalti piTh ko Dhaal bana kar
aur aag ke fawware ki kumak le kar
jo kisi qadim sayaf ki
pur-KHarash niyam mein mahbus hai
us la-mutanahi KHarabe ke liye
mujhe ijad karni hai ek nai bahaar
maut ki mayus aur muzmahil ghazab-naki ko
waqt ke ghair-mutawazin bojh se taDKHi hui zaminon par
az-sar-e-nau baalida kar ke
adhure sayon ke ghol
tariKH ke aasebi chhakDe ko
be-parwai aur anaDi-pan se khinchte hain
sayyaron ki guzargahen
bhurnhuri aur mukaddar ho gai hain
kaenat ke munh par
kharonche paD gae hain
siyasi jitne gahre adam jitne lambe
raund mein aai hui pili pattiyon ki tarah
sitare aasman par lip diye gae hain
un ki martub jhilmilahaT andheron ko uksati hai
aur nahusaton ka hausla baDhati hai
main hazaron nuri baras ke raqbe ko
zaman o makan ki narawa amal-dari se
nikalne ke liye uThi hun
pighle hue faulad ke fawware ki tarah
ek pur-ghubar mismari ek KHar-dar duKHani uThan ke sath
bani-nau-e-insan
tumhaare liye yahi behtar hai ki
jarsumon ki tarah meri aankh se ojhal raho
meri rah mein apne shahr aur virane mat bichhao
warna mujhe ghussa ya hansi aa jaegi
aur ye tughyani pahaD aur tinke ko hum wazn jaanti hai
ai hasharaat-ul-arz! mere pair bahut baDe hain
kahin aisa na ho ki tumhaari zamin
KHashKHash ke dane ki tarah
mere kaf-e-pa se chipak jae
aur mujhe pata bhi na chale
(1472) Peoples Rate This