Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e910fc92362acd0873834d1804fed494, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Saba Dekh Ek Din Idhar Aan Kar Ke - Ahmad Javed Poetry In English - Darsaal

Saba Dekh Ek Din Idhar Aan Kar Ke

saba dekh ek din idhar aan kar ke

ye dil bhi paDa hai gulistan kar ke

yahi dil jo ek bund hai bahr-e-gham ki

Dubo dega sab shahr tufan kar ke

miyan dil ko is aaina-ru ke aage

jo rakhna to yak-laKHt hairan kar ke

KHuda jaane kya asliyat ghair ki hai

dikhe hai bani-nau-e-insan kar ke

use ab raqibon mein pate hain aksar

rakha jis ko KHud se bhi anjaan kar ke

dikha denge achchha isi fasl-e-gul mein

gareban ko hum gareban kar ke

hamare to ek ghar bhi hai bhai majnun

paDe hain usi ko bayaban kar ke

(1158) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saba Dekh Ek Din Idhar Aan Kar Ke In English By Famous Poet Ahmad Javed. Saba Dekh Ek Din Idhar Aan Kar Ke is written by Ahmad Javed. Read famous Poem Saba Dekh Ek Din Idhar Aan Kar Ke for youth and Student by Ahmad Javed. Free Download Saba Dekh Ek Din Idhar Aan Kar Ke in PDF.