Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e7feb866404665a7ddecf4c670a9fb5c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Magar Wo Diya Hi Nahin Man Kar Ke - Ahmad Javed Poetry In English - Darsaal

Magar Wo Diya Hi Nahin Man Kar Ke

magar wo diya hi nahin man kar ke

bahut hum ne dekha hai ji jaan kar ke

kabhi dil ko bhi sair kar jao sahab

ye ghuncha bhi haiga gulistan kar ke

nazar is sarape mein sau ja se palTi

zuleKHai yusufistan kar ke

wo jis roz niklen jag ujiyarne ko

ye dil bhi dikha laiyo dhyan kar ke

janab aap hur o malak honge lekin

samajhiyega aashiq ko insan kar ke

teri lala-zari salamat ki hum bhi

khaDe hain koi ghuncha arman kar ke

masih o KHizr sar-ba-kaf phir rahe hain

koi us pe marna hai aasan kar ke

meri kisht-e-jaan par se guzra hai 'jawed'

sahab-e-junun zor-e-baran kar ke

(1388) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Magar Wo Diya Hi Nahin Man Kar Ke In English By Famous Poet Ahmad Javed. Magar Wo Diya Hi Nahin Man Kar Ke is written by Ahmad Javed. Read famous Poem Magar Wo Diya Hi Nahin Man Kar Ke for youth and Student by Ahmad Javed. Free Download Magar Wo Diya Hi Nahin Man Kar Ke in PDF.