Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_30547fc2d468a8282179816fa1c45a79, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kiya Hai Dil Ne Begana Jahan-e-murgh-o-mahi Se - Ahmad Javed Poetry In English - Darsaal

Kiya Hai Dil Ne Begana Jahan-e-murgh-o-mahi Se

kiya hai dil ne begana jahan-e-murgh-o-mahi se

hamein jagir-e-azadi mili darbar-e-shahi se

khila hai ghuncha-e-hairat hawa-e-gah-gahi se

hue majzub rafta rafta us ki kam-nigahi se

teri duniya mein ai dil hum bhi ek goshe mein rahte hain

hamein bhi kuchh ummiden hain teri aalam-panahi se

reaya mein shahanshah-e-junun ki hum bhi daKHil hain

hamein bhi kuchh na kuchh nisbat to hai zill-e-ilahi se

hue hain bas-ki baiat us nazar ke KHanwade mein

faqiri se talluq hai na matlab baadshahi se

kiya hai us nazar ne sarfaraaz ahl-e-mohabbat ko

kisi ko taj-dari se kisi ko be-kulahi se

kahan wo KHanuman-barbaadi-e-ishq aur kahan ye hum

phira karte hain yunhi dar-ba-dar wahi tabahi se

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kiya Hai Dil Ne Begana Jahan-e-murgh-o-mahi Se In English By Famous Poet Ahmad Javed. Kiya Hai Dil Ne Begana Jahan-e-murgh-o-mahi Se is written by Ahmad Javed. Read famous Poem Kiya Hai Dil Ne Begana Jahan-e-murgh-o-mahi Se for youth and Student by Ahmad Javed. Free Download Kiya Hai Dil Ne Begana Jahan-e-murgh-o-mahi Se in PDF.