Kisi Ka Dhyan Mah-e-nim-mah Mein Aaya
kisi ka dhyan mah-e-nim-mah mein aaya
safar ki raat thi aur KHwab rah mein aaya
tulu-e-saat-e-shab-KHun hai aur mera dil
kisi sitara-e-bad ki nigah mein aaya
mah o sitara se dil ki taraf chala wo jawan
adu ki qaid se apni sipah mein aaya
jihad-e-gham mein koi sust zarb meri tarah
giraft-e-maisara-e-ashk-o-ah mein aaya
sitare Dub gae aur wo sitara-gar
thakan se chur zamin ki panah mein aaya
charagh hai meri raaton ka ek KHwab-e-visal
jo koi pal teri chashm-e-siyah mein aaya
dukhi dilon ki salami qubul karte hue
nazar jhukae koi KHanqah mein aaya
(1002) Peoples Rate This