Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_951543b2d89422d8e30e280cac0a2c0e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Achchhi Guzar Rahi Hai Dil-e-KHud-kafil Se - Ahmad Javed Poetry In English - Darsaal

Achchhi Guzar Rahi Hai Dil-e-KHud-kafil Se

achchhi guzar rahi hai dil-e-KHud-kafil se

langar se roTi lete hain pani sabil se

duniya ka koi dagh mere dil ko kya lage

manga na ek diram bhi kabhi is baKHil se

kya boriya-nashin ko hawas taj o taKHt ki

kya KHak-ashna ko gharaz asp o fil se

dil ki taraf se hum kabhi ghafil nahin rahe

karte hain pasbani-e-shahr us fasil se

gahwara-e-safar mein khuli hai hamari aankh

tamir apne ghar ki hui sang-e-mil se

ek shaKHs baadshah to ek shaKHs hai wazir

goya nahin hain donon hamari qabil se

duniya mere paDos mein aabaad hai magar

meri dua-salam nahin us zalil se

'jawed' ek gham ke siwa dil mein hai bhi kya

hum ghar chala rahe hain mata-e-qalil se

(1848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Achchhi Guzar Rahi Hai Dil-e-KHud-kafil Se In English By Famous Poet Ahmad Javed. Achchhi Guzar Rahi Hai Dil-e-KHud-kafil Se is written by Ahmad Javed. Read famous Poem Achchhi Guzar Rahi Hai Dil-e-KHud-kafil Se for youth and Student by Ahmad Javed. Free Download Achchhi Guzar Rahi Hai Dil-e-KHud-kafil Se in PDF.