Gerwe KapDe Badan Par Hath Lohe Ke KaDe

gerwe kapDe badan par hath lohe ke kaDe

le malamat-dar sufi dar pe tere aa paDe

iKHtiyaraat-e-dayar-e-dahr hasil hon mujhe

mehr se sona-kashidon mah se chandi jhaDe

bhej de mujh ko jahan-e-hissiyat-o-lams mein

shor se uljhe samaat aankh se manzar laDe

surKH inTon ki gali tak jaen hum diwana-war

dafatan apni nigah us ke dariche par paDe

us taffun-gah sa ek aur sayyara bhi ho

peD marte hon jahan talab mein pani saDe

har masiha-e-zaman ko KHair-maqdam chahiye

taj ho kanTon ka sar par meKH hathon mein gaDe

(798) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gerwe KapDe Badan Par Hath Lohe Ke KaDe In English By Famous Poet Ahmad Jahangeer. Gerwe KapDe Badan Par Hath Lohe Ke KaDe is written by Ahmad Jahangeer. Read famous Poem Gerwe KapDe Badan Par Hath Lohe Ke KaDe for youth and Student by Ahmad Jahangeer. Free Download Gerwe KapDe Badan Par Hath Lohe Ke KaDe in PDF.