Firozi Tasbih Ka Ghera Hath Mein Jalwa-afgan Tha
firozi tasbih ka ghera hath mein jalwa-afgan tha
naranji shamon se hujra KHair ki shab mein raushan tha
rah-rawon ne dasht-e-safar mein har ummid sanwari thi
ranj ki rah pe chalne walon ka har KHwab muzayyan tha
raat hui hai KHema to naqe se utara jaega
dip kahan rakkha hai jis mein kuchh zaitun ka roghan tha
rangon ki ye qab ulaT de taswiron par maTi lep
khoj jo sone ke sikkon ka ek goshe mein bartan tha
chin mein sunte hain shayad ab aaina ijad hua
warna ek talab hi apni aaraish ka darpan tha
matam ki aawaz uThai zanjiron ke halqon ne
hath bandhe the gardan se par girya sham-ta-madyan tha
(726) Peoples Rate This