Zamzama Nala-e-bulbul Thahre
zamzama nala-e-bulbul Thahre
main jo fariyaad karun ghul Thahre
naghma-e-kun ke karishme dekho
kahin qum qum kahin qulqul Thahre
jal mein katib-e-amal phansen
dosh par aa ke jo kakul Thahre
raat din rahti hai gardish un ko
chand suraj qadah-e-mul Thahre
mera kahna tera sunna malum
jumbish-e-lab hi agar gul Thahre
jaan kar bhi wo na jaanen mujh ko
aarifana hi tajahul Thahre
aashiqi mein ye tanazzul kaisa
aap hum kyun gul-o-bulbul Thahre
tujh pe khul jae jo raaz-e-hama-ust
falsafi dur o tasalsul Thahre
aankh se aankh mein paigham aae
gar nigahon ka tawassul Thahre
khul gai be-hamagi ba-hamagi
kul main jab mahw hue kul Thahre
dil se dil baat kare aankh se aankh
aashiqi ka jo tawassul Thahre
kyun na firdaus mein jae 'mail'
jab mohammad ka tawassul Thahre
(774) Peoples Rate This