Wo Para Hun Main Jo Aag Mein Hun Wo Barq Hun Jo Sahab Mein Hun
wo para hun main jo aag mein hun wo barq hun jo sahab mein hun
zamin pe bhi iztirab mein hun falak pe bhi iztirab mein hun
na main hawa mein na KHak mein hun na aag mein hun na aab mein hun
shumar mera nahin kisi mein agarche main bhi hisab mein hun
agarche pani ki mauj ban kar hamesha main pech-o-tab mein hun
wahi hun qatra wahi hun dariya jo ain chashm-e-habab mein hun
sulaya kis ne gale laga kar ki sur bhi thak gaya jaga kar
bapa hai aalam mein shor-e-mahshar mujhe jo dekho to KHwab mein hun
maza hai saqi tere karam se zuhur mera hai tere dam se
wo baada hun jo hun mai-kade mein wo nashsha hun jo sharab mein hun
ilahi wo gore gore talwe kahin na ho jaen mujh se maile
ki KHak ban kar ba-rang-e-surma hamesha chashm-e-rikab mein hun
jo bhes apna badal ke aaya to rang-e-itlaq munh se dhoya
kiya hai pani mein qaid mujh ko hawa ki surat habab mein hun
ghazab hai josh-e-zuhur tera pukarta hai ye nur tera
KHuda ne andha kiya hai jis ko usi ke aage hijab mein hun
hui hai donon ki ek haalat na chain us ko na chain mujh ko
udhar wo hai mahw shoKHiyon mein idhar jo main iztirab mein hun
ilahi mujh par karam ho tera na khol aamal-nama mera
pukarta hai ye KHatt-e-qismat ki main bhi fard-e-hisab mein hun
dimagh mein hun qadah-kashon ke dahan mein aaya hun mah-washon ke
nasha wo hun jo sharab mein hun maza wo hun jo kabab mein hun
wo apna chehra agar dikhae yaqin andhon ko KHak aae
pukarti hai ye be-hijabi ki main azal se hijab mein hun
alahada kar ke KHud se mujh ko jo tu ne baKHsha to KHak baKHsha
agarche jannat mujhe mili hai ilahi phir bhi azab mein hun
hujum nazron ka hai wo munh par diya hai dono ko jis ne dhoka
yaqin ye mujh ko paDa hai parda guman ye un ko naqab mein hun
jo mujh ko us se juda karoge to mera nuqsan kya karoge
nahin hun manind-e-sifr kuchh bhi agarche main bhi hisab mein hun
na aaya mar kar bhi chain mujh ko uTha meri KHak se bagula
buton ka gesu to main nahin hun ilahi kyun pech-o-tab mein hun
jo haal puchho to ek kahani nishan puchho to be-nishani
wo zarra hun jo miTa hua hun agarche main aaftab mein hun
miTa agarche mazar mera chhuTa na wo shahsawar mera
pukarta hai ghubar mera ki main bhi hazir rikab mein hun
karam ki 'mail' pe bhi nazar ho nazar mein phir chulbula asar ho
azal se ummid-war main bhi ilahi teri janab mein hun
(923) Peoples Rate This