Shab-e-mah Mein Jo Palang Par Mere Sath Soe To Kya Hue
shab-e-mah mein jo palang par mere sath soe to kya hue
kabhi lipTe ban ke wo chandni kabhi chand ban ke juda hue
hue waqt-e-aKHiri mehrban dam-e-awwalin jo KHafa hue
wo abad mein aa ke gale mile jo azal mein hum se juda hue
ye ilahi kaisa ghazab hua wo samae mujh mein to kya hue
mera dil bane to taDap gae mera sar bane to juda hue
chale sath sath qadam qadam koi ye na samjha ki hain baham
kabhi dhup ban ke lipaT gae kabhi saya ban ke juda hue
abhi hain zamane se be-KHabar rakha hath rakkhe ye lash par
uTho bas uTho kaha man lo meri kya KHata jo KHafa hue
hain ajib murgh-e-shikasta-par na chaman mein ghar na qafas mein ghar
jo gire to saya hain KHak par jo uThe to mauj-e-hawa hue
wo araq araq hue jis ghaDi mujhe umr-e-KHizr ata hui
shab-e-wasl qatre pasine ke mere haq mein aab-e-baqa hue
kabhi shakl-e-aina ru-ba-ru kabhi tuti aur kabhi guftugu
kabhi shaKHs ban ke gale mile kabhi aks ban ke juda hue
na tajalliyan hain na garmiyan na shararten hain na phurtiyan
hama-tan the din ko to shoKHiyan hama-tan wo shab ko haya hue
mere nale hain ki azal abad tere ishwe hain ki lab-e-masih
wahan kun ka ghalghala wo bane yahan qum ki ye jo sada hue
gire zat mein to hai jumla-ust uThe jab sifat mein hama-az-dast
kaha kaun ho to mile rahe kaha nam kya to juda hue
kiye us ne bazm mein shoabde mali mehndi hath pe shama ke
jo patange raat ko jal gae wo tamam murgh-e-hina hue
mere dil ke dekho to walwale ki har ek rang mein ja mili
jo ghaTe to un ka dahan bane jo baDhe to arz-o-sama hue
wahi farsh-o-arsh-nashin rahe hue nam alag jo kahin rahe
gae dair mein to sanam bane gae la-makan to KHuda hue
jo tasawwur un ka juda hua dil be-KHabar ne ye di sada
abhi ham-baghal the kidhar gae abhi god mein the wo kya hue
kabhi sozishen kabhi aafaten kabhi ranjishen kabhi rahaten
milin chaar hum ko ye neamaten tere ishq mein jo fana hue
hamein shauq ye ki ho ek taur use zauq ye ki ho shakl aur
bane aag to bujhe aab mein mile KHak mein to hawa hue
gae sar se jabki wo ta-kamar to alif idhar ka hua udhar
tera joDa khulte hi baal sab pas-e-pusht aa ke bala hue
koi dab gaya koi mar gaya koi pis gaya koi miT gaya
tere ishwe se jab se falak bane tere ghamze jab se qaza hue
mujhe gudgudi se ghash aa gaya to hila ke shana yahi kaha
abhi hanste the abhi mar gae abhi kya the tum abhi kya hue
kaho kafiron se karen KHushi ki ye masala hai tanasuKHi
mere nale KHak mein jab mile to subu ke dast-e-dua hue
pas-e-wasl hum jo sarak gae to wo khilkhila ke phaDak gae
kaha shoKHiyon ne chalo haTo ki huzur tum se KHafa hue
tumhein log kahte hain naujawan ki ho bis tis ke darmiyan
kaho mujh se 'mail'-e-KHush-bayan wo tumhaare walwale kya hue
(1031) Peoples Rate This