Ru-e-taban Mang Mu-e-sar Dhuan Batti Charagh
ru-e-taban mang mu-e-sar dhuan batti charagh
kya nahin insan ki gardan par dhuan batti charagh
kuchh na puchho zahidon ke batin-o-zahir ka haal
hai andhera ghar mein aur bahar dhuan batti charagh
dud-e-afghan-o-rag-e-jaan-o-suwaida dil mein hai
band hai qindil ke andar dhuan batti charagh
tur par ja kar charagh-e-tur kyun dekhe koi
kya makanon mein nahin patthar dhuan batti charagh
ho muafiq kyunkar ai parwane saya-gustari
hai muKHalif zer-e-baal-o-par dhuan batti charagh
kanpta hai hath tasir-e-dil-e-betab se
main karun raushan to ho muztar dhuan batti charagh
surat-e-baKHshish dikhawen kaghaz-o-satr-o-huruf
ho amal-nama sar-e-mahshar dhuan batti charagh
KHizr hai bahri musafir ka manar-e-raushni
hai jahazon ke liye rahbar dhuan batti charagh
kya zarurat raushni ki be-KHudi ki bazm mein
zulf-e-saqi mauj-e-mai saghar dhuan batti charagh
shoala-ruyon ke muqabil rang jamta hi nahin
uD na jae bazm se ban kar dhuan batti charagh
kis saliqe se hai raushan mahfil-e-arz-o-sama
aasman par chand hai ghar ghar dhuan batti charagh
subh tak karte rahe raushan dilon se hamsari
sham se raushan nafas ho kar dhuan batti charagh
ishq ki garmi ne phunka parde parde mein mujhe
meri chadar mein mera bistar dhuan batti charagh
zulf-o-ruKHsar-o-nazar hain dushman-e-iman-o-din
luTne nikle hain wo le kar dhuan batti charagh
main wo tair hun jo hun kam-KHarch aur baala-nashin
ek jugnu yan hai aur ghar ghar dhuan batti charagh
shab ko 'mail' waqt-e-araish musahib the yahi
phul surma aaina zewar dhuan batti charagh
(986) Peoples Rate This