Pyar Apne Pe Jo Aata Hai To Kya Karte Hain
pyar apne pe jo aata hai to kya karte hain
aaina dekh ke munh chum liya karte hain
wasl ka lutf mujhe wasl se pahle hi mila
jab kaha yar ne ghabra ke ye kya karte hain
is qadar tha mujhe ulfat mein bharosa un par
ki jafa bhi to ye samjha ki wafa karte hain
hai yahi arz KHuda se ki fulan but mil jae
wahi achchhe jo namazon mein dua karte hain
lab kisi ke jo hile kan udhar dhyan udhar
dil laga kar wo mera zikr suna karte hain
subah ko dekh ke aaine mein bose ka nishan
muskuraate hue honTon mein gila karte hain
kaise kaise mujhe be-saKHta milte hain KHitab
ghussa aata hai to kya kya wo kaha karte hain
kya hua mujh ko raqibon ne agar di tazim
teri mahfil mein to fitne hi uTha karte hain
kan baaton ki taraf aankh hai kaamon ki taraf
ho ke anjaan mera zikr suna karte hain
chin peshani pe hai mauj-e-tabassum lab mein
aise hansmukh hain ki ghusse mein hansa karte hain
bas to chalta nahin kuchh kah ke unhen kyun hon zalil
hum to apna hi lahu aap piya karte hain
is ishaare ke fida aise tajahul ke nisar
mar kar aankh wo munh pher liya karte hain
jalse hi jalse hain jab se wo hue KHud-muKHtar
koi itna nahin kahta ki ye kya karte hain
aashiqana hai aqida bhi hamara 'mail'
le ke hum nam-e-butan zikr-e-KHuda karte hain
(854) Peoples Rate This