Ye Baat Samajh Mein Aai Nahin
ye baat samajh mein aai nahin
aur ammi ne samjhai nahin
mein kaise miThi baat karun
jab main ne miThai khai nahin
aapi bhi pakati hain halwa
phir wo bhi kyun halwai nahin
ye baat samajh mein aai nahin
nani ke miyan to nana hain
dadi ke miyan bhi dada hain
jab aapa se main ne ye puchha
baji ke miyan kya baja hain
wo hans hans kar ye kahne lagin
ai bhai nahin ai bhai nahin
ye baat samajh mein aai nahin
jab naya mahina aata hai to
bijli ka bil aa jata hai
haalanki baadal bechaara
ye bijli muft banata hai
phir hum ne apne ghar bijli
baadal se kyun lagwai nahin
ye baat samajh mein aai nahin
gar billi sher ki KHala hai
to hum ne use kyun pala hai
kya sher bahut nalaeq hai
KHala ko mar nikala hai
ya jangal ke raja ke han
kya milti dudh milai nahin
ye baat samajh mein aai nahin
kyun lambe baal hain bhaalu ke
kyun us ki TunD karai nahin
kya wo bhi ganda bachcha hai
ya us ke abbu bhai nahin
ye us ka hair style hai
ya jangal mein koi nai nahin
ye baat samajh mein aai nahin
jo tare jhilmil karte hain
kya un ki chachchi tai nahin
hoga koi rishta suraj se
ye baat hamein batlai nahin
ye chanda kaisa mama hai
jab ammi ka wo bhai nahin
ye baat samajh mein aai nahin
(2939) Peoples Rate This