Safar Aisa Hai Kahan Ka
jis jahan mein meri aawaz ne mujhe chhoDa tha
wo ab meri samaat se pare hai
mujhe kuchh sunai nahin deta
mushkil ye hai ki aadmi bahut kuchh sun sakta na dekh sakta hai
phir bhi shayad kuchh aisa hota hai ki
kisi bhi marne wale aadmi ki
aankhon ki kagar par jab us ki
jaan Thahar jati hai
tu us ke nam ka parinda
use achanak uDa le jata hai
ye maut hoti hai
siwae is ke ki marne wala use dekh nahin sakta
mujhe yaad nahin
ki main ne kis se mohabbat ki
aur kis se nafrat ki
siwae is ke ki main ne wo sare gunah kiye
jo mujhe is liye yaad hain
ki ek umr tak unhen
mujh mein rachaya basaya aur khilaya pilaya gaya
mujhe yaad hai
ki main ne koi aisi ghiza nahin khai
jo meri ruh mein utar jati
mujhe yaad hai
ki main ne koi aisa libas nahin pahna
jo mere baatin mein utar jata
main zindagi bhar bhuka raha
aur nanga raha
yahan tak ki mere pas
rah-e-haq mein kuchh dene ke liye bhi nahin
na koi neki na koi burai
(975) Peoples Rate This