Parchhain Ka Safar
ye sach hai ki hathon mein tirshul thame
biragi tumhin the
khule aasman ko tumhin tak rahe the
hazaron baras tak tumhin dewtaon ne kuchh na diya us jazire se tum lauT aae
usi dam purane samundar ke kone mein monge chaTanen banate hue thak gae the
unhen machhliyan kha gai thin
anekon banon apunon se guzarti hui dauDti sansanahaT unhen DhunDne ja rahi thi
zamin ek chakkar laga ke ruki thi
ki tum lauT aae
aur phir bhik mangi hui sipiyon sard ghonghon se tum ne kai sar-phire but banae
magar ab kahan ho
sirishTi kahan hai!
yahan ek kamre mein bijli ke kale plug ki chamakti lakiron se do jhankte gol suraKH
aur tak mein gupt baiThi hui maut ki bhuk, lalach, hawa mein sulagti hui sukhti tirishna
kaun hai raushni nahin pip ke Dher mein ek luthDi hui Dubti khopaDi
do nishan malgaje ek ubla kahani ke pichhe bhaTakte hue sard sune safar ki bikasti bansi
kaun soche gulab aur huhi ke phulon ki mahkar raste se haT ke purani hui bujh gai
ek zamana kinare ki ghaTnaon ka sath deta barkachhon se girti hui pattiyon ko sameTe
bahaw se Darte hue aaKHiri jal mein bahta chala ja raha hai
suno aaKHiri jal tumhaara nahin hai kisi ka nahin hai!
dishaon ke bahrup, ab haarte, hanpte, TuTte ja rahe hain
inhen itna murda samajh lo ki dekhe bina chal paDo aur chalte raho
jinhen tum kahin bhul se waqt ke moD par chhoD aae
wo ab ja chuke hain
unhen mat bulao
yahan ek kamre ki khiDki mein baiThe hue sochte ho ki aankhen tumhaari hain rachna tumhaari
udhar muD ke dekho banae hue an-ginat rang
shabdon ke sanchon mein Dhaali hui apsaraen nae farsh par Dagmagati hui gir paDi hain
sawere ki nilahaTen gandagi mein lapeTi hui chhanw mein unghti hain
faqat makkhiyan uD rahi hain
(952) Peoples Rate This