Mehwar
hamari aankhon mein jalne wale nuqush baqi hain
kan mausam ki garm aahaT se chaunk uThte hain
bhigi miTTi ka lams fan ko nikhaar deta hai
nursery ke purane gamlon mein parwarish ke tamam aadab
KHub sajte hain
hawa abhi tak hamare peDon ki sard shaKHon mein sarsaraati hai
honT hilte hain
aur gaek hamare wijdan ki shat aur athah lahron mein bah nikalta hai
hamari masum aatmaon ki jot dharti pe jagti hai
hamari mehwar pe ghumti hai
kya hua jo hamari duniya mein din ki nafrat
ya shab ka dhoka bhi hadisa hai hamare alfaz ka
na koi tariKH saaton ki
na koi wirsa na koi tahzib
sab ghalat hai
mufahamat ke tamam bandhan bikhar chuke hain
hamari aankhen hi dekhti hain
aur koi aawaz hamari tariKH ki hikayat se mawara hai
dimagh patthar uga rahe hain
(837) Peoples Rate This