Kaun Si Disha Kahan Ki Disha
KHatme se pahle agar KHatm hona hai to samajh lo ki KHatma ho chuka hai
silai machine par meri aurat ki nind mein soi girna
mere maqsum ka virana hai
hawas bahut hai qisson par bhaari hain
hawas jaante hain kaha nahin jaante hue bhi sabhi jaante hain
ki duniya paida hi nahin hui
jis mein bheDiye na hon sirf KHargosh rah rahe hon
wo dekho wo koi safed KHargosh hi to hai
jo abhi abhi is jhaDi se uchhal ke is jhaDi tak gaya hai
magar us ki safedi mein Thik us ki gardan ki jagah
bheDiye ke dant lagne se gahre KHun ka muqaddar laga hai
is tarah muqaddar ko KHun ke dhabbe mein dekhna
kahan ki duniya hai
kya kabhi aisa hua ki maut ne apni ghiza mein KHud ko khaya
us chitrkar ko bula sako to bulao
zara jald bulao
ki wo kahin aur nahin hoga
chemistry ke shoabe mein hoga
ki jahan rakhe hue har rang mein us ke apne kimiyai aaseb ka basera hai
hum kisi na kisi rang ko KHud tari hone ki dawat dete hain
aur is ke aaseb se apni jild nuchwate hain
shiryanon ko udhaDwate hain
har rang mein basera karne wale aaseb ne hamari mohabbat hi to khaya
is liye to main sote apne beTe ko nahin jagata
ki wo har rose motor-cycle mein petrol ki jagah
apne hisse ki bedari aur nind donon ko ek sath Dal deta hai
is liye mein der tak soti apni beTi ko nahin jagata
ki wo kitchen mein chae banane ki abdiyat ko bhi
chae ki pyali mein unDel deti hai
(881) Peoples Rate This