Is Se Ziyaada Kuchh Nahin
main nahin jaanta ki yahan se kisi ne mujh se kuchh kaha
ya wahan se kisi ne tum se kuchh kaha
ya kisi ne kuchh bhi nahin kaha
to bina kuchh kahe hue hi kuchh sun liya hoga
nind mein chalte hue aadmi ke liye
hamwar rah bhi khai ban jati hai
aur kahin bhi girne ke liye
girne wale ko bhi kuchh bataya nahin jata
aur agar girane wala KHuda ke dil mein baiTha ho
to girne wale ko
mahz ye batane ke liye ki chalo uTho
tumhein giraya jaane wala hai
to kya wo use dekh sakta hai
so kyun na baat wahin se shurua ki jae
jahan se aadmi ki zat ne hi
aadmi ki zat se kaha
ki agar sat samundaron se bhi baDh kar
tumhaare aansu aur tumhaare gham honge
to chalo mil ke banT lenge
aur tumhein itna hansaen
ki jiwan bhar kabhi rone ke liye
ek aansu bhi nahin milega
magar wo ye nahin jaanti hogi
ki kabhi nind ko nind aa jati hai
bilkul waise hi
jaise maut ko bhi maut aati hai
koi soya hua peD bhi
kisi soe hue peD mein so jata hai
aur yahi wo samay hota hai
jab zindagi ke tamam kaam
bahut KHub karte hue
aadmi ki nazar ke samne bhi
tarik diwar aa jati hai
so yahan tak pahunch ke malum hua
ki kuchh bhi to nahin tha
ki agar kuchh hota bhi
to us ke hone se pahle
bahut kuchh ho chuka hota
koi kisi ke liye kabhi nahin jaga
koi kisi ke liye kabhi nahin roya
koi kisi ke liye kabhi nahin jala
koi kisi ke liye kabhi nahin bujha
kisi bahut baDe jhuT se mile hue
kisi bahut baDe sach mein
na koi jhuT milta hai na koi sach
(818) Peoples Rate This