Dar-asl Ye Nazm Likhi Hi Nahin Gai
baz baaten bahut mamuli hoti hain
magar un ke dant pure jiwan ko kaTte rahte hain
ye ek nazm ke darmiyan hua aaghaz tha jo iKHtitam tak pahunchne se pahle hi puri nazm samet gum ho gaya
shayad baz bahut mamuli baaton ke dant ek puri nazm ke jiwan ko musalsal kaTte rahne ke liye honge
so tumhaari nazm gum ho gai 'hamesh'
so tum bhi gum ho jao 'hamesh'
an-dekhi tahdariyon mein gum ho jao 'hamesh'
is se pahle ki kisi aawaz ke dant adam-e-tarik mein kaund jaen
kyun na tum abhi ye jaan lo ki
mamuli se mamuli baat apne hisse ki aawaz se guzar gae na jaanne wale ke liye to bazgasht ban jati hai
magar jaanne wale ke liye maut ke dant
warna ye usi ka to saundarya jahan-guzida hai ki
dhup itni dhuan-dhaar gir rahi hai ki bijli ke khambe aur chale gae hain
ab kabhi kuchh nahin sunai de sakega
pahle bhi kya sunai diya hoga
ki ek abhagi samaat ko ek ghanTe ki nasha guman zarb-e-nadida
ya tin minute ki sukut-e-KHush-gawar Thokar par rakh liya hoga
aur kaha gaya ki ab intizar na karna ki ab bahut ho chuka ki nahin chahiye ki jo kabhi chahiye tha
so jis rah par aaj tum udas maqsum baiThe ho
is se tumhaare hisse ki koi man-chahi rah to ke nahin milti
wo koi aur zamana raha hoga
warna kahan ki chambal nadi aur kahan us ka pani
aur kabhi kinare se Dala hua purana tanbe ka paisa us ki tah mein paDa nazar aa raha tha
to wahan ab tak kitni hi hasid sauteli parchhaiyon ka nuzul hua hoga
tumhaare aansuon ke sankan ko an-dekhi miTTi mein daba ke upar se paT dene ke liye
so gum ho jao 'hamesh'
us ki nazar se aur apni nazar se bhi
aisa to kabhi nahin hua hoga
ki agar kisi ne KHuda ko nahin dekha
to kya KHuda ne bhi kisi ko nahin dekha
ki agar koi KHuda se nahin mila
to kya KHuda bhi kisi se nahin mila
phir wo kaun hai jo apne jazb ke hissa ki aasmani kanghi mol le ke apne sar ke beach
mang kaDhta hai
us samay jab us ke gham-dida hisse ki duniya mein us ke lutf-e-nadida ki barish ho rahi hoti hai
ya shayad kisi jahan-e-asuda ki ummid mein kisi jahan-e-na-asuda se guzarna paDta hai
tab wapas le jaane ke liye aayaton se shukr ke ek dane ko sameT ke
apni jagah le jaane wali chiyunTiyon ke jamaw se purani yaadon mein mahfuz rakhi
hathiyon ki qatar se e'tibar-e-adam mein zam hona paDta hai
bhul jao ki tum us ke liye siyah gulu-band mein chamakte tin nagon mein se kisi ek nag mein bhi shamil ho sakoge
(1325) Peoples Rate This