Be-barg Shajar
ab mein kis se kahun
ki kahne ke liye kuchh bhi nahin
na harf-o-lafz na aawaz na samaat
koi rishta nata hai nahin
ek ek kar ke rishte nate miTTi se bichhaD ke
aur pani mein Dubte chale jate hain
wahan jaane ka waqt aa gaya hai
sath le jaane wala parinda sar par manDla raha hai
isi liye daraKHton ki putliyan bilkul KHamosh hain
malum hua ki koi kisi ka tha hi nahin
ya dil to shayad mahz nirasha ka Dher tha
is Dher par pani ki ek bund bhi girne ko tayar nahin thi
safar karne wala barahna panw to dhul mein paDa rah gaya
main ne shayad use is liye nahin uThaya ki
use kisi aur jism mein lagaya nahin ja sakta tha
(881) Peoples Rate This