Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b70dcaca26b354a95842899b11bca418, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Apne Jaise Aashiqon Ke Nam - Ahmad Hamesh Poetry In English - Darsaal

Apne Jaise Aashiqon Ke Nam

main taDapta hun

main bahut taDapta hun

ki wahan lauT jaun jahan se meri umr shurua hui thi

jahan mere din raat meri miTTi ki mahak se mahakte the

zamin bhar ki dhup mein se mere hisse ki dhup

mere rome rome ko senkti thi

sitaron bhare aasman mein se mere nam ka sitara

badan ki agni ban ke mere hisse ki dulhan ko

nadi ke pani se bani hui sej pe utarta tha

aur an-dekhi tah mein tairti machhliyon ki sans ko sangit kar deta tha

raat mein chhupe hue din ko

aur din mein chhupi hui raat ko

ek dusre ke pas la ke KHud kahin chhup jata tha

phir jhag se jhag nikalta tha

aur jhag se an-ginat murtiyan banti thin

tab unhen pujne ki tijarat ijad nahin hui thi

tab aag hari ghas ko nahin jalati thi

siwae is ke ki panw par rengti hui chyunTi hath ki pakaD mein aa jati thi

kaenat bhar ki bhuk aur pyas ki

sinchai karte hue kisan aur khudai karte hue mazdur

abhi khet aur fasl aur kachche pakke ghar aur diwaron aur jiwan maran

aur shamshan bhum aur qabron se pahchane to jate the

abhi bazaron mein ghumte phirte nange pagalon

aur un ke hisse ki galiyon aur pattharon ki pahchan se zindagi ki pahchan to hoti thi

abhi raat ke safar mein kisi an-dekhe jahan se

meri duniya ke jangalon mein utarte jugnuon ke jhunD chahak chahak ke

sudhaari hui ruhon ka ata pata batate the

afsos ab main wahan lauTna chahun bhi

to KHud par itna guzar chuka hun ki lauT nahin sakta

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Jaise Aashiqon Ke Nam In English By Famous Poet Ahmad Hamesh. Apne Jaise Aashiqon Ke Nam is written by Ahmad Hamesh. Read famous Poem Apne Jaise Aashiqon Ke Nam for youth and Student by Ahmad Hamesh. Free Download Apne Jaise Aashiqon Ke Nam in PDF.