Aisa Bhi Nahin Ki
aisa bhi nahin ki mujhe zindagi ke peD ke pas
be-as aur be-sahaara chhoD diya gaya ho
main ne abhi abhi gilahriyon ki aawaz suni hai
gilahriyan mere liye
bahisht ke aKHroT la rahi hain
siwae is ke ki aadam-zad kahin dikhai nahin deta
magar jangal bol raha hai ki is ke bol mein
meri bichhDi hui aawaz shamil hai
mere baal-bachchon ka pyar shamil hai
siwae is ke ki jin logon ne mujhe be-nam
jaziron mein le jaane ka wada kiya tha
wo ab kahin dikhai nahin diye
to ab main kis se kahun
ki kahne sunne wala zindagi ka nizam to baqi nahin raha
awae us ke ki miTTi kah rahi hai
ki wo an-ginat peD paude tab ugaegi
jab main yahan hunga hi nahin
(795) Peoples Rate This