Dil Tujhe Pa Ke Bhi Tanha Hota

dil tujhe pa ke bhi tanha hota

dur tak hijr ka saya hota

aur to apne liye kya hota

apna dukh hi koi apna hota

aap aate ki na aate dil mein

jalta-bujhta koi shoala hota

aarzu phir nai karte tabir

phir naya koi tamasha hota

phir wahi ek KHalish si hoti

phir kisi ne hamein dekha hota

zaKHm phir koi mahakta dil mein

samne phir koi chehra hota

phir gale wahshaten miltin hum se

phir wahi hum wahi sahra hota

the KHafa tum to hamara dam-saz

aafat-e-jaan koi tum sa hota

tujh ko nafrat hai to apna dil bhi

rafta rafta tujhe bhula hota

thak ke soya hai jo ab raat gae

sham hote use dekha hota

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Tujhe Pa Ke Bhi Tanha Hota In English By Famous Poet Ahmad Hamdani. Dil Tujhe Pa Ke Bhi Tanha Hota is written by Ahmad Hamdani. Read famous Poem Dil Tujhe Pa Ke Bhi Tanha Hota for youth and Student by Ahmad Hamdani. Free Download Dil Tujhe Pa Ke Bhi Tanha Hota in PDF.