Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1b7ce60eff688925c679a17b8f453e94, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Azal Abad Se Bahut Dur Jhumte The Hum - Ahmad Hamdani Poetry In English - Darsaal

Azal Abad Se Bahut Dur Jhumte The Hum

azal abad se bahut dur jhumte the hum

kisi ke dhyan mein kuchh din ko ja base the hum

wo gham ho ya ho KHushi kaif kam na hota tha

ajib rah se ho kar guzar rahe the hum

bahut aziz the hum ko hamare dost magar

ek ajnabi ke liye sab se chhuT gae the hum

karam se aap ke sarshaar tha ye dil lekin

KHushi ki aanch mein kya kya pighal rahe the hum

tumhein to yaad kahan honge ab magar wo din

na dekh kar tumhein har lamha dekhte the hum

wo ek kaif ka aalam wo aarzu-mandi

na jaane kaun si duniya mein ji rahe the hum

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Azal Abad Se Bahut Dur Jhumte The Hum In English By Famous Poet Ahmad Hamdani. Azal Abad Se Bahut Dur Jhumte The Hum is written by Ahmad Hamdani. Read famous Poem Azal Abad Se Bahut Dur Jhumte The Hum for youth and Student by Ahmad Hamdani. Free Download Azal Abad Se Bahut Dur Jhumte The Hum in PDF.